Mahshar Badayuni

kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
kise dekhte kise pūchhte ki ham aap kushta-e-hāl the
sar-e-lab kuchh aur the mas.ale pas-e-jāñ kuchh aur savāl the
jo lahūluhān kiye ga.e sar-e-rah jo maar diye ga.e
vo shaġhāl to na the dasht ke mire shahr hī ke ġhazāl the
uThā parda rū-e-gumāñ se jab to khulā ajab hī tilsim-e-shab
vo tamām chehre bhī ḳhvāb the vo sab aa.ine bhī ḳhayāl the
baḌhe jitne raah meñ pech-o-ḳham huā aur jazb-e-safar baham
jo malāl the mire ham-qadam kahīñ thamne vaale malāl the
baḌī sabr-kash thiiñ masāfateñ ki qadam qadam thiiñ qayāmateñ
mirī himmateñ to nihāl thiiñ mire hausle to bahāl the
Top Urdushayar.com