dīvānoñ par haath na Daalo is zid meñ pachhtāoge
saare shahr meñ kis kis ko tum zanjīreñ pahnāoge
kyā sahrā kī taptī miTTī apnā sar na uThā.egī
tum to ye dīvār baḌhā kar sahrā tak le jāoge
ham bhī duā karte haiñ ki tum muḳhtār-e-sarīr-e-koh bano
lekin tum se milnā kyā hai patthar hī barsāoge
bazm-ārā.ī achchhī lekin aisī bazm-ārā.ī kyā
dāman dāman aag lagā dī aur charāġh jalāo.ge
āñkheñ nīchī kar lo raat ke raste nā-hamvār bhī haiñ
chāñd ko takte chalne vaalo dekho Thokar khāoge
harf to kār-e-kilk-o-zubāñ hai naql-e-harf to āsāñ hai
zaḳhm koī tasvīr nahīñ hai jis ke naqsh banāoge
dar ko chhoḌā dair ko chhoḌā daar meñ ab hai dil yaaro
kyā unvān tarāshoge ab kyā ilzām lagāoge