koī nahīñ jo halkā kar de bār-e-safar mujh tanhā kā
dosh pe hai imroz kā bojh aur sar par qarz hai fardā kā
āñdhī aa.e to andesha tūfāñ uTThe to tashvīsh
ek taraf se sahrā kā qurb ek taraf se dariyā kā
kin zaḳhmoñ ke Tāñke TuuTe kin dāġhoñ ke band khule
ḳhuun hai rañgat shām-o-sahar kī aag hai mausam duniyā kā
kūche ke ḳhāmosh gharoñ kī raat se kitnā ġhāfil hai
āḳhir maah ye shor-e-shabāna yārān-e-be-parvā kā
pesh-ravoñ ko is darje par aur bhī kuchh in.aam mile
sañg-e-malāmat kam hī sila hai mere dimāġh-e-saudā kā
ham ko hamārī mahrūmī kī qīmat miltī rahtī hai
dil meñ hamāre baḌh jaatā hai roz ik zaḳhm tamannā kā