na sahn-o-bām na dīvār-o-dar purāne haiñ
agar makīñ haiñ purāne to ghar purāne haiñ
saḳhāvatoñ hī ke dam se hai tāzgī kā bharam
samar na deñ to yaqīnan shajar purāne haiñ
dil aisī sūrat-e-ta.amīr par jame kab tak
tamām naqsh hī dīvār par purāne haiñ
havā kī lahr hai ab jis tarah bhī shohrat de
junūñ purānā na āshufta-sar purāne haiñ
qabāhateñ to yahīñ haiñ masāfatoñ meñ mirī
safar nayā hai sharīk-e-safar purāne haiñ
maiñ nā-balad huuñ rafū kī rivāyatoñ se to phir
nikalte kyuuñ nahīñ jo baḳhiya-gar purāne haiñ
ye rabt-e-ḳhair nishāñ hai saf-e-hunar ke liye
jo kuchh na.e haiñ to kuchh dīda-var purāne haiñ
sabhī ḳharābe haiñ dosh-e-zamīñ pe baar magar
ziyāda bojh vo haiñ jo khañDar purāne haiñ