Mahshar Badayuni

jaise hum aate hain KHidmat mein sabhi aaya karen

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
jaise ham aate haiñ ḳhidmat meñ sabhī aayā kareñ
lekin ai jān-e-karam jab ham chale jaayā kareñ
merā zikr aate hī chup hone kā koī mudda.ā
kuchh to āḳhir vo mire baare meñ farmāyā kareñ
sab haiñ vaise aur koī bhī nahīñ is shahr meñ
ye kahīñ jaane kī bastī hai kahāñ jaayā kareñ
sab haiñ vaise aur koī bhī nahīñ is shahr meñ
ye kahīñ jaane kī bastī hai kahāñ jaayā kareñ
tishnagī bhī maslahat hai lekin andāze ke saath
zarf vaale ab hameñ itnā na tarsāyā kareñ
kal se kuchh galiyoñ meñ bāteñ ho rahī haiñ aur idhar
ham bhī ab Thahreñge kam vo bhī guzar jaayā kareñ
ham to qisse kahte kahte thak ga.e chup ho ga.e
ab hamārī dāstāneñ log dohrāyā kareñ
mujh ko ghar kī raunaqoñ ne ye na dī hogī duā
tere sar par umr bhar tanhā.iyāñ saayā kareñ
kyā tasallī duuñ ab is armān-e-tiflāñ par ki aap
koī din to raat se pahle bhī ghar aayā kareñ
ho shumār apnā bhī āsūda-nasīboñ meñ agar
āgahī ke zaḳhm bāzāroñ meñ bik jaayā kareñ
'mahshar' achchhā hai ḳhayāl-e-rasm-o-rāh-e-dil magar
baat nāzuk hai zabāñ par soch kar laayā kareñ
Top Urdushayar.com