jo shaḳhs akelā hī bojhal safar se aayā thā
kisī ne pūchhā vo luT kar kidhar se aayā thā
ye raushnī to mirī vahshateñ baḌhā ga.ī aur
maiñ raushnī meñ añdheroñ ke Dar se aayā thā
jise kahīñ bhī na Tikne diyā havāoñ ne
vo barg kuchh bhī thā kaT kar shajar se aayā thā
jo sañg itnī harārat lahū ko baḳhsh gayā
mujhe navāzne mere hī ghar se aayā thā
naved-e-āmād-e-chārā-garāñ ko jug biite
qarār dil ko zarā is ḳhabar se aayā thā
ham itne aa.e jhulas kar kisī ne ye na kahā
tumhārā qāfila kis rah-guzar se aayā thā
milā jo kuuze ko āñchoñ meñ tap ke rañg-e-sabāt
vo pahle sholagi-e-kūzā-gar se aayā thā
ajiib dhun kā musāfir thā kuuch kar gayā aaj
ġharīb ghar kī hī chāhat meñ ghar se aayā thā