kare dariyā na pul mismār mere
abhī kuchh log haiñ us paar mere
bahut din guzre ab dekh aa.uuñ ghar ko
kaheñge kyā dar-o-dīvār mere
vahīñ sūraj kī nazreñ thiiñ ziyāda
jahāñ the peḌ sāya-dār mere
vahī ye shahr hai to shahr vaalo
kahāñ haiñ kūcha-o-bāzār mere
tum apnā hāl-e-mahjūrī batāo
mujhe to khā ga.e āzār mere
jinheñ samjhā thā jāñ-parvar maiñ ab tak
vo sab nikle kafan-bardār mere
guzarte jā rahe haiñ din havā se
raheñ zinda-salāmat yaar mere
dabā jis se usī patthar meñ Dhal kar
bike chehre sar-e-bāzār mere
darīcha kyā khulā merī ġhazal kā
havā.eñ le uḌiiñ ash.ār mere