shabnam ne kab is baat se inkār kiyā hai
kirnoñ ne sadā us se bahut pyaar kiyā hai
shāḳhoñ pe ab ilzām koī bād-e-sabā kyuuñ
tū ne hī to har shāḳh ko talvār kiyā hai
kis kis pe kiye lutf-o-karam shahr-e-tarab ne
ham par bhī koī sāya-e-dīvār kiyā hai
kuchh saḳhtī-e-imroz to kuchh ye bhī ki yaaro
qarz-e-ġham-e-fardā ne girāñ-bār kiyā hai
jañg apne muqaddar se ḳharīdī hai ki ham ne
ik shaḳhs hai dil de kī jise yaar kiyā hai
ik lamhe ke ehsās ne tanhā-safarī meñ
barsoñ ke liye vaqt se hushiyār kiyā hai
hogā koī bhed is meñ ki naam apnā hamīñ ne
bad-nām sar-e-kūcha-o-bāzār kiyā hai
jis dasht se laa.e the vahīñ le chalo yaaro
kyuuñ aaise ḳharābe meñ hameñ ḳhaar kiyā hai
ḳhush hote haiñ sheroñ se samajhte haiñ kahāñ log
shā.er ne kisī dard kā iz.hār kiyā hai