miTTī kī imārat saaya de kar miTTī meñ hamvār huī
vīrānī se ab kaam hai aur vīrānī kis kī yaar huī
har pattī bojhal ho ke girī sab shāḳheñ jhuk kar TuuT ga.iiñ
us bārish hī se fasl ujḌī jis bārish se tayyār huī
Dar Dar ke qadam yuuñ rakhtā huuñ ḳhvāboñ ke sahrā meñ jaise
ye reg abhī zanjīr banī ye chhāñv abhī dīvār huī
chhūtī hai zarā jab tan ko havā chubhte haiñ ragoñ meñ kāñTe se
sau baar ḳhizāñ aa.ī hogī mahsūs magar is baar huī
ab ye bhī nahīñ hai bas meñ ki ham phūloñ kī Dagar par lauT chaleñ
jis rāhguzar par chalnā hai vo rāhguzar talvār huī
ik ġhuncha sahar ke arse meñ aisā bhī thā jo kah guzrā
is arz-e-ḳhush-guftārāñ par taḳhlīq-e-jars be-kār huī
ham saath chale the sūraj ke so is kā ye ḳhamyāza hai
sūraj to nikal kar duur gayā ab apnī shaam ġhubār huī
vo naale haiñ be-tābī ke chīḳh uThtā hai sannāTā bhī
ye dard kī shab mālūm nahīñ kab tak ke liye bedār huī
ab tez havā kitnī hī chale ab garm fazā kitnī hī rahe
siine kā zaḳhm charāġh banā dāman kī aag bahār huī