hamāre haath the sūraj na.e jahānoñ ke
so ab zamīnoñ ke ham haiñ na āsmānoñ ke
hazār gird lagā leñ qad-āvar ā.īne
hasab-nasab bhī to hote haiñ ḳhāndānoñ ke
hurūf-bīñ to sabhī haiñ magar kise ye shu.ūr
kitāb paḌhtī hai chehre kitāb-ḳhvānoñ ke
ye kyā zarūr ki nāmoñ ke ham-mizāj hoñ log
bahār aur ḳhizāñ naam haiñ zamānoñ ke
vo chāhe aa ke na bāhar kisī se baat kareñ
ḳhabar makīnoñ kī dete haiñ dar makānoñ ke
hamārī qadr ko samjhe ye asr-e-nā-qadrāñ
ham ahl-e-fan haiñ khilaune nahīñ dukānoñ ke
ab aisī shorish-e-bāzār-e-mad.h meñ 'mahshar'
ḳhamosh lahje ġhanīmat haiñ qadr-dānoñ ke