kuchh lahū to farozāñ hamārā bhī hai
shahr par itnā ehsāñ hamārā bhī hai
dekhnā baḳhiya-e-jāma-e-vaqt meñ
ek tār-e-garebāñ hamārā bhī hai
haq-bayānoñ kī ḳhātir hai vus.at baḌī
kuchh yahī ḳhvāb-e-zindāñ hamārā bhī hai
vo jo fard-e-vafā meñ qalam-zad hue
naam un meñ numāyāñ hamārā bhī hai
har kaḌe vaqt se sahl guzre magar
in dinoñ dil pareshāñ hamārā bhī hai
kuchh to Dhab ho ki ab apnī nasleñ kaheñ
ye dayār-e-buzurgāñ hamārā bhī hai
jab se jaagā hai ġhazloñ meñ shahr-e-navā
rutba-dāñ har suḳhan-dāñ hamārā bhī hai