zindagī bhar ham lab-e-dariyā rahe
aur sarāboñ kī tarah tishna rahe
mirī tārīkī se ghar kyuuñ ho siyāh
āñkheñ bujh jaa.eñ diyā jaltā rahe
ban ga.e har ahd ke dil kī umañg
zinda log is tarah bhī zinda rahe
zulm dekho qasr-e-ishrat ham banā.eñ
aur hamīñ par band darvāza rahe
jāgtī āñkhoñ se kyā aa.e nazar
aadmī kā zehn agar soyā rahe
'mahshar' is tāroñ kī duniyā meñ mudām
chāñd kī mānind ham tanhā rahe