Mahshar Badayuni

lab-e-talab bhi na phir mail-e-sawal hua

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
lab-e-talab bhī na phir mā.il-e-savāl huā
ki jab taqaddus-e-kashkol pā.emāl huā
ajiib qaht-e-ḳhayāl-o-ḳhabar se guzre ham
kisī ne haal bhī pūchā to jī bahāl huā
mile ba-sa.ī-e-rafū aur uThe garebāñ-chāk
ye mashvara huā logo ki ishti.āl huā
vo jaal phaile havā meñ ki par-kushāoñ ko
nashemanoñ kī taraf lauTnā muhāl huā
ye hashr us kā hai sūraj kahā gayā jis ko
kabhī sunā kisī zarre ko bhī zavāl huā
kuchh aise hādse bhī the jo zaḳhm-e-vaqt ke the
so kis se vaqt ke zaḳhmoñ kā indimāl huā
ajab vo shahr-e-sitamgar thā chhoḌ kar jis ko
bahut ḳhushī huī aur phir bahut malāl huā
vo ik musāfir-e-haq-kosh thā so us kā ye ajr
sadāqatoñ ke safar hī meñ intiqāl huā
phirīñ kuchh aisī shab-afroziyāñ nigāhoñ meñ
charāġh-e-shām jalā aur maiñ niDhāl huā
Top Urdushayar.com