itnī qīmat-e-shām-e-safar duuñ ye nahīñ hogā
apne charāġh ko ḳhud gul kar duuñ ye nahīñ hogā
ab to merī kul tauqīr shajar hai aadhā
barq ko ye aadhā bhī shajar duuñ ye nahīñ hogā
hijr ko pas-andāzā kiyā hai mausam mausam
umr kī mehnat ġhārat kar duuñ ye nahīñ hogā
jā.ūñ jo us ke dar par dāman-e-jāñ phailā.e
vo patthar de aur maiñ sar duuñ ye nahīñ hogā
sach kī dhun meñ chāhe sāñseñ hī ruk jaa.eñ
saaz ko jhūTe soz se bhar duuñ ye nahīñ hogā
kam-zau lafz ko sūrat bhī duuñ miTTī bhī duuñ
ḳhud-rau lafz ko zer-o-zabar duuñ ye nahīñ hogā
mantiq-e-asr salīqa-e-harf-e-haq kyā jaane
vahshī ke qabze meñ tabar duuñ ye nahīñ hogā
merī ek ik shāḳh hai fazl-o-adal kī mīzāñ
chhāñv udhar duuñ dhuup idhar duuñ ye nahīñ hogā