Mahshar Badayuni

dukh sine mein kis taqat-e-iza ne bhare hain

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
dukh siine meñ kis tāqat-e-īzā ne bhare haiñ
ghar saikaḌoñ ḳhālī hue vīrāne bhare haiñ
hairat hai ki jo garden-e-qātil pe rahā hai
us ḳhuun se ḳhud haath masīhā ne bhare haiñ
pyāsoñ kī tasallī ke liye shor bahut hai
kuchh kūzoñ ke nuqsān bhī dariyā ne bhare haiñ
ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk tasarruf meñ haiñ kis ke
ye apne hī dāman haiñ jo sahrā ne bhare haiñ
kuchh der hī guzrī hai jale mash.al-e-gul ko
ye kyā ki dhuveñ se sabhī ḳhas-ḳhāne bhare haiñ
yūñhī to nahīñ zinda o bedār ye tasvīr
har naqsh meñ rañg apnī tamannā ne bhare haiñ
ik vus.at-e-dil hai ġham-e-imroz se labrez
jo goshe tahī the ġham-e-fardā ne bhare haiñ
kyuuñ uljhe ho 'mahshar' ye tavaqqo hī ġhalat hai
zaḳhm-e-ġham-e-duniyā kabhī duniyā ne bhare haiñ
Top Urdushayar.com