āḳhir āḳhir ek ġham hī āshnā rah jā.egā
aur vo ġham bhī mujh ko ik din dekhtā rah jā.egā
sochtā huuñ ashk-e-hasrat hī karūñ nazr-e-bahār
phir ḳhayāl aatā hai mere paas kyā rah jā.egā
ab havā.eñ hī kareñgī raushnī kā faisla
jis diye meñ jaan hogī vo diyā rah jā.egā
aaj agar ghar meñ yahī rañg-e-shab-e-ishrat rahā
log so jā.eñge darvāza khulā rah jā.egā
tā-had-e-manzil tavāzun chāhiye raftār meñ
jo musāfir tez-tar aage baḌhā rah jā.egā
ghar kabhī ujḌā nahīñ ye ghar kā shajara hai gavāh
ham ga.e to aa ke koī dūsrā rah jā.egā
raushnī 'mahshar' rahegī raushnī apnī jagah
maiñ guzar jā.ūñgā merā naqsh-e-pā rah jā.egā