Mahshar Badayuni

tair ke liye din raat ka Dar

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
taa.ir ke liye din raat kā Dar
dahlīz pe rizq aur taaq meñ ghar
sab rauzan-e-zindāñ band hue
yā kuchh na rahā zindāñ se udhar
bāhar ye qadam nikleñ to khule
zanjīr madad kartī hai ki dar
maqtal kī zamīñ se phuul ugeñ
jaatā hai kahīñ miTTī kā asar
niiñd aatī hai us ke saa.e meñ
gir jaa.e ye dīvār agar
ham sog haiñ jaage sapnoñ kā
ai raat hameñ mahsūs na kar
jalvaoñ se bahut nazdīk ho tum
ai bul-havso dāman pe nazar
hai apnā qayām is aalam meñ
shabnam kā baserā kāñTe par
yā sirf Dagar thī vaqt na thā
ab sirf hai vaqt kā naam Dagar
kuchh apnī pyāseñ bujh bhī ga.iiñ
kuchh qarz haiñ dariyā-noshoñ par
Top Urdushayar.com