insān pe kyā guzar rahī hai
insāniyat aaheñ bhar rahī hai
ab kyā hai difā-e-zulm ke paas
tārīḳh savāl kar rahī hai
dīvāreñ to saarī haiñ udhar kī
aur chhāñv idhar utar rahī hai
gum apnī havā meñ haiñ machhere
mauj apnī jagah biphar rahī hai
āsūda-e-ġham hai koī rut ho
vo shāḳh jo be-samar rahī hai
apnī hī ḳhabar rahī hai un ko
aur apnī bhī kyā ḳhabar rahī hai
ḳhud kuuze banā.e ḳhud bikhar jaa.e
ye qismat-e-kūza-gar rahī hai