ghar se hameñ jaane kī zarūrat nahīñ ab kuchh
bāhar kī havā aa ke batā jaatī hai sab kuchh
kyā tez hai ye mausam-e-bārān-e-suḳhan bhī
labrezī-e-dil kuchh hai navā-ḳhezī-e-lab kuchh
kyā dām-e-fusūñ zinda charāġhoñ ke liye the
andāza-e-shab ham ko huā āḳhir-e-shab kuchh
aam itnā rahā shohra-e-zar shor-e-sarā meñ
kaam aa.ī nahīñ narmī-e-tahzīb-o-nasab kuchh
chup haiñ ki ik āshob-e-malāmat meñ ghire haiñ
aa.e the subuk lahje liye ḳhair-talab kuchh
ik shaḳhs se paimān bahut soch ke bāñdhā
phir ham ne tarāshā nahīñ ranjish kā sabab kuchh
ai zī-hunarāñ tez-ravāñ asr-murīdāñ
ham log duā-go haiñ hamārā bhī adab kuchh