malāl jī pe na yuuñ ek chārāgar ne liyā
asar jo merī udāsī kā bām-o-dar ne liyā
baTā rahā yūñhī ġham-hā-e-rozgār kā bojh
kuchh apne dil ne sambhālā kuchh apne sar ne liyā
luTe to luT ke ye tauqīr bhī hamīñ ko milī
ga.e jidhar bhī hameñ sar pe rah-guzar ne liyā
jo shīsha TuuTā chunā dil ne reza reza use
jo rañg bikhrā vo palkoñ pe chashm-e-tar ne liyā
ham aise ḳhāna-ḳharāboñ se aur kyā miltā
bas ek lutf-e-tamāshā nazar nazar ne liyā
ye sochtā huuñ to Dastī hai aur shāḳh-e-chaman
sukūñ kā naam hī kyuuñ ik shikastā-par ne liyā
jo ghar meñ par-tav-e-zau thā use bujhā ga.ī raat
jo dil meñ virsa-e-ḳhūñ thā vo sab sahar ne liyā
ḳhayāl-e-be-ḳhabrāñ to bahut rahā un ko
patā kuchh apnā bhī yārān-e-bā-ḳhabar ne liyā
dil ashk ashk dimāġh aag aag hai 'mahshar'
ye intiqām bhī mujh se mire hunar ne liyā