vo haal hai ki talāsh-e-najāt kī jaa.e
kisī faqīr-e-duā-go se baat kī jaa.e
ye shahr kaisā ḳhush-auqāt thā aur ab kyā hai
jo din bhī nikle to vahshat na raat kī jaa.e
koī to shakl-e-gumāñ ho koī to hīla-e-ḳhair
kisī tarah to basar ab hayāt kī jaa.e
gharoñ meñ vaqt-guzārī kā ab hai shuġhl hī kyā
yahī ki guftugū-e-hādsāt kī jaa.e
agar yahī hai ab īfā-e-ahd meñ pas-o-pesh
to ḳhatm rasm-o-rah-e-iltifāt kī jaa.e
husūl-e-fat.h ġharaz ho to kyā bajā hai ye taur
tabāh us ke liye kā.enāt kī jaa.e
muhāl hī meñ kuchh āsūdgī bahāl kareñ
kahāñ tak ārzū-e-mumkināt kī jaa.e
kuchh aise bhī haiñ tahī-dast o be-navā jin se
milā.eñ haath to ḳhushbū na haat kī jaa.e