rāheñ to bahut thiiñ zindagī meñ
ham kho ga.e ishq-o-āshiqī meñ
jo baat kisī meñ chāhte the
ab tak na milī hameñ kisī meñ
vo lamha jo tere saath guzrā
vo lamha bahut hai zindagī meñ
paikar hai vo ek sādgī kā
sau rañg haiñ us kī sādgī meñ
dariyā pe bhī jā ke lauT aa.e
Duube hue kaif-e-tishnagī meñ
anjām-e-bahār sūjhtā kyā
āġhāz-e-bahār kī ḳhushī meñ
aaise bahut āftāb ubhre
jo Duub ga.e haiñ tīrgī meñ