ḳhud maiñ zindāñ meñ huuñ tīrgī ke
harf dūñgā yūñhī raushnī ke
maiñ ise kār-nāma kahūñgā
koī pahchān le dukh kisī ke
ḳhud bhī maiñ jal rahā huuñ jalā kar
tāq-e-jāñ meñ charāġh āgahī ke
mere asbāb nām-o-numū kyā
bas yahī bāñkpan sādgī ke
sab ġhubār apnī apnī havā meñ
us galī ke hoñ yā is galī ke
maut kā dar khulā kyā ki mujh par
saare dar khul ga.e zindagī ke
ham-rahī to bajā soch liije
rāste saḳht haiñ rāstī ke