kam ulajhtī hai charāġhoñ se havā mere ba.ad
shahr meñ shahr kā mausam na rahā mere ba.ad
maiñ ne jal kar na diyā maslahat-e-vaqt kā saath
kyā ḳhabar kaun jalā kaun bujhā mere ba.ad
sach kī ḳhātir sar-e-sholā bhī zabāñ rakh detā
baat ye hai koī mujh sā na rahā mere ba.ad
Dūbnā thā so maiñ ik mauj meñ pas Duub gayā
aur dariyā thā ki bahtā hī rahā mere ba.ad
phir koī shām-e-shafaq-dīdā bhī utrī ki nahīñ
merī tanhā.ī kā kyā rañg huā mere ba.ad
aur kyā hashr thā is anjuman-afrozī kā
bas yahī thā ki dhuāñ aur baḌhā mere ba.ad
yuuñ maiñ āsūda-e-manzil huuñ ki ab gard-e-safar
chūmtī hai mirā naqsh-e-kaf-e-pā mere ba.ad
kyā burā vaqt paḌā shahr-e-vafā par 'mahshar'
mujh ko hī DhūñDtī hai merī vafā mere ba.ad