Mahshar Badayuni

kitne din habs-e-musalsal mein basar hote hain

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
kitne din habs-e-musalsal meñ basar hote haiñ
baḌe ash.ār baḌe ġham kā samar hote haiñ
hikmat-e-vaqt bhī kartī hai atā jin ko ḳhirāj
maiñ isī soch meñ huuñ kyā vo hunar hote haiñ
mustaqil bojh na Thahrā.e sabhī ko ye zamīñ
izzat-e-ḳhāk bhī kuchh ḳhāk-basar hote haiñ
ḳhālī shāḳhoñ kā bhī hotā hai bhalā koī maqām
jo shajar chhāñv bichhā deñ vo shajar hote haiñ
ham-safar kaisī biThā jaate haiñ gard āñkhoñ meñ
jab vo be-ḳhvāb-e-safar ḳhvāb-e-safar hone haiñ
shaam kuchh achchhā nazar aatā hai bastī kā samāñ
sub.h hotī hai to hālāt digar hote haiñ
kyā huī zābta-e-nzm kī bālā-dastī
log ab qatl sar-e-rāhguzar hote haiñ
raḳhna-e-zar-talabāñ sarzanish-e-tīra-shabāñ
aise qisse to yahāñ shaam o sahar hote haiñ
Top Urdushayar.com