merā ik ik harf paimāna mirī iizā kā hai
tishnagī kī vus.ateñ haiñ ye karam dariyā kā hai
ban ga.e sahrā meñ ghar lekin gharoñ meñ aaj tak
rau vahī vahshat kī hai mausam vahī sahrā kā hai
chāhe bik jā.ūñ chukā.ūñgā magar sab kā hisāb
mujh pe qarz imroz kā hai mujh pe haq fardā kā hai
gard-o-bād-e-dasht kā ehsāñ ki hai tū saath saath
is safar meñ kaun mujh āvāra o tanhā kā hai
jaa.e bhī koī nayā rah-rav to ab jaa.e kidhar
be-karāñ ik sail har jānib nuqūsh-e-pā kā hai
kam na thī kal bhī ufuq-tābī magar vo kal kī thī
aaj ubharne vaalā sūraj aaj kī duniyā kā hai