ham shahr kī dīvāroñ meñ khiñch aa.e haiñ yaaro
mahsūs kiyā thā ki idhar saa.e haiñ yaaro
rahne bhī do kyā pūchh ke zaḳhmoñ kā karoge
ye zaḳhm agar tum ne nahīñ khaa.e haiñ yaaro
chheḌo koī baat aisī ki ehsās ko badle
ham aaj zarā ghar se nikal aa.e haiñ yaaro
kyā sochte ho taaza lahū dekh ke sar meñ
ik dost-numā sañg se Takrā.e haiñ yaaro
aise bhī na chup ho ki pashemān ho jaise
kuchh tum ne ye sadme nahīñ pahuñchā.e haiñ yaaro
andāz tumheñ hogā ki baat aisī hī kuchh hai
varna kabhī ham aise bhī ghabrā.e haiñ yaaro
vo qisse jo sun lete the ham az-rah-e-aḳhlāq
ab apne yahāñ vaqt ne dohrā.e haiñ yaaro
ab tum ko sunāte haiñ ki ehsās kī tah se
ek naġhma bahut Duub ke ham laa.e haiñ yaaro
jaate haiñ ki guzrā hai ye din jin kī ḳhizāñ meñ
āñkhoñ meñ bahār un ke liye laa.e haiñ yaaro