kahīñ sahrā meñ jo dariyā dekheñ
ham bhī ā.īne meñ chehrā dekheñ
ham mohabbat ke liye ḳhaak uḌā.eñ
log galiyoñ meñ tamāshā dekheñ
sabr aa jaa.e agar apnā ye haal
jin kī ḳhātir hai vo tanhā dekheñ
band āñkhoñ meñ baḌī vus.at hai
band āñkhoñ hī se duniyā dekheñ
ghar hai mausam se bachānā mushkil
jānib-e-abr-o-havā kyā dekheñ
itnī dīvār-e-gulistāñ na baḌhāo
ki bayābāñ mirā rastā dekheñ
ab yahī shakl-e-tamannā hai ki ham
umr bhar ḳhvāb-e-tamannā dekheñ