kuchh āgahī kī sabīleñ haiñ intishār meñ bhī
kabhī kabhī nikal aayā karo ġhubār meñ bhī
ye baat alag ki nishāñ apnā mausamoñ ko na deñ
numū ke silsile hote haiñ reg-zār meñ bhī
maiñ ban ke johd-e-ravāñ mauj-mauj phailā huuñ
mirī fanā nahīñ dariyā ke iḳhtiyār meñ bhī
musāfir aap banā lete haiñ jagah apnī
musāfiroñ ko biThā do kisī dayār meñ bhī
kalām karte haiñ dar boltī haiñ dīvāreñ
ajiib sūrateñ hotī haiñ intizār meñ bhī
barasne vaalī ghaTā TuuT TuuT kar barsī
sulagne vaale sulagte rahe bahār meñ bhī