thā maiñ āḳhir usī mausam kī fazā meñ pahle
is qadar soz na thā merī navā meñ pahle
hai agar us kī ye hasrat ki use sab dekheñ
shāhid-e-charḳh ho rū-posh ghaTā meñ pahle
ḳhāk-poshoñ ke badan der meñ lau dete haiñ
aag lagtī hai kisī narm qabā meñ pahle
hoñT siinā bhī hai ab farz chalo ye bhī sahī
aisī sharteñ na thiiñ ādāb-e-vafā meñ pahle
ahl-e-fan us ko na bhūleñ ki dil o jaañ kī tapish
harf meñ ba.ad ko aatī hai sadā meñ pahle
mere arsa-gah-e-taqdīr meñ aane vaalo
din guzāro kisī āshob-sarā meñ pahle
mere sahrā meñ tum aa.e to ho nāzuk-nafaso
saañs bhī lī hai kabhī aisī havā meñ pahle