Mahshar Badayuni

use hum bhi bhul baiThe na kar us ka zikr tu bhi

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
use ham bhī bhuul baiThe na kar us kā zikr tū bhī
koī chaak agar ho zāhir to kareñ use rafū bhī
chalo chal ke pūchh aa.eñ ki ḳhizāñ kī is galī meñ
kabhī aa chukā ho shāyad koī sail-e-rañg-o-bū bhī
uḌī tishnagī ke kūche meñ vo gard ik taraf se
ham uThā sake na tāqoñ se gire hue subū bhī
abhī kaise bhuul jā.ūñ maiñ ye vāqi.a safar meñ
abhī gard-e-raftagāñ bhī hai jagah jagah lahū bhī
is iram iram zamīñ par ki bahār umañD rahī hai
koī phuul agar khilā de mirī be-numū bhī
tirī anjuman kī raunaq meñ na farq aa.egā kuchh
hameñ chup biThāne vaale kabhī ham se guftugū bhī
mere ḳhāl-o-ḳhad ko sūrat kā faroġh dene vaalo
kisī naqsh meñ dikhāo mirā zaḳhm-e-sholā-rū bhī
Top Urdushayar.com