uḌā liye haiñ kuchh arbāb-e-gulistāñ ne to kyā
hazār sheva-e-nau haiñ mirī fuġhāñ ke liye
zamīn-e-kūcha-e-jānāñ se aa rahī hai sadā
bulandiyāñ nahīñ maḳhsūs āsmāñ ke liye
hai ḳhatm hausla-mandī vajūd-e-ādam par
satīza-e-kār hai fat.h-e-ġham-e-jahāñ ke liye
hai saḳht be-adabī gar kahe fasāna-e-ishq
har ek baat munāsib nahīñ zabāñ ke liye
añdherī raat thakī himmateñ kaḌī manzil
salāmtī kī duā maañg kārvāñ ke liye
sajā.ī fikr-e-daraḳhshāñ ne merī bazm-e-nujūm
thī muntazir ye zamīñ nāz-e-āsmāñ ke liye