huuñ kālbud-e-ḳhāk meñ mehmāñ koī din aur
qismat meñ hai pābandī-e-zindāñ koī din aur
hai daftar-e-ālam ko zarūrat abhī merī
karnī hai mujhe ḳhidmat-e-unvāñ koī din aur
aane hī ko hai mausam-e-gul ḳhair manā le
dāmāñ koī din aur garebāñ koī din aur
ai abr yūñhī qatra-e-fashāñ rah abhī kuchh roz
mai-ḳhvāroñ pe hotā rahe ehsāñ koī din aur
āmāda-e-ruḳhsat hai mirā ahd-e-javānī
ḳhātir kā lahū chuus le armāñ koī din aur
kuchh roz Thahar aur bhī ai sham.a-e-shab-afroz
pur-nūr rahe merā shabistāñ koī din aur
kyuuñ rū-kash-e-ālam hai nihāl-e-jigar-afgār
rahnā thā navā-sanj-e-ġhazal-ḳhvāñ koī din aur