garmi-e-ishq ke baġhair lutf-e-hayāt rā.egāñ
ishq hai zindagī kā ruup ishq se zindagī javāñ
haa.e vo chand sā.ateñ guzrīñ jo tere qurb meñ
rashk se dekhtī rahī jin ko hayāt-e-jāvedāñ
uf-rī manāzil-e-buland tere harīm-e-nāz kī
pā-e-talab ko kitne tai karne paḌe haiñ āsmāñ
barq kī dastaras se duur asr-e-nau ke ai tuyūr
aur buland āshiyāñ aur buland āshiyāñ
garm husūl jū-e-shīr haañ yūñhī mard-e-tesha-gīr
tesha-zanī hai dahr meñ asl hayāt-e-kāmrāñ
mohtasib-e-sharāb to bazm-e-jahāñ meñ haiñ bahut
ye bhī kaho ki hai koī mohtasib-e-ġham-e-nihāñ
jazba-e-himmat ai 'nihāl' jab ho mirā sharīk-e-hāl
mere laboñ pe aa.e kyuuñ shikva-e-gardish-e-zamāñ