zindagī zahr kā ik jaam huī jaatī hai
kyā se kyā ye mai-e-gulfām huī jaatī hai
kuchh gizārī hai ġham-e-ishq-o-mohabbat meñ hayāt
kuchh supurd-e-ġham-e-aiyyām huī jaatī hai
phir kisī mard-e-barāhīm kā mohtāj hai dahr
phir vahī kasrat-e-asnām huī jaatī hai
havas-e-sair-e-tamāsha hai ki hotī nahīñ ḳhatm
zindagī hai ki subuk-gām huī jaatī hai
jo kabhī ḳhāliq-e-hañgāma-e-tūfāñ thī vo mauj
haif ḳhu-karda-e-ārām huī jaatī hai
sohbat-e-pīr-e-muġhāñ meñ ye khulī azmat-e-ishq
aql bhī durd-e-tah-e-jām huī jaatī hai
tum jo aa.e ho to shakl-e-dar-o-dīvār hai aur
kitnī rañgīn mirī shaam huī jaatī hai