dil-e-nā-mutma.in andesha-e-barq-e-tapāñ meñ hai
jo be-tābī qafas meñ thī vahī ab āshiyāñ meñ hai
mirī be-tābi-e-dil kī samajh meñ kuchh nahīñ aatā
ḳhudā jaane tirā harf-e-tasallī kis zabāñ meñ hai
yahī andāz haiñ to ġham nahīñ kuchh buad-e-manzil kā
umañgeñ jaag uThī haiñ zindagī sī kārvāñ meñ hai
usī ke raag se gūñjeñge kal rāheñ masarrat kī
ye maanā aaj insāñ manzil-e-āh-o-fuġhāñ meñ hai
koī nisbat nahīñ manzil-rasī ko rah-navardī se
vo lazzat kāmyābī meñ kahāñ jo imtihāñ meñ hai
ye taḳhsīs-e-chaman kyā iltijā-e-bāġhbāñ kaisī
bahut ai himmat-e-parvāz gunjā.ish jahāñ meñ hai