Nihal Sevharvi

chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi

Nihal Sevharvi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1901-1951
chāra-farmā.ī-e-dil rasm-e-butāñ hai to sahī
abhī kuchh mehr-o-mohabbat kā nishāñ hai to sahī
naqsh-e-pā terā hai gar tū nahīñ ai hashr-ḳhirām
ik na ik bā.is-e-āshob-e-jahāñ hai to sahī
aap se aap to paidā nahīñ ye lāla-o-gul
koī āḳhir chaman-ārā-e-jahāñ hai to sahī
ye bhī kahte haiñ ki hai arz-e-tamannā be-sūd
ye bhī kahte haiñ tire muñh meñ zabāñ hai to sahī
jalva-e-dost ko samjhā nahīñ ye baat hai aur
jalva-e-dost muhīt-e-dil-o-jāñ hai to sahī
chāhiye aur tujhe kyā pa.e-hañgāma-e-husn
tere qurbān ye sab kaun-o-makāñ hai to sahī
ham ne maanā ki nahīñ 'hālī' o 'majrūh' 'nihāl'
'mīr' o 'ġhālib' kā ye ejāz-e-bayāñ hai to sahī
Top Urdushayar.com