junūñ ta.alīm kuchh farmā rahā hai
ḳhirad kā saath chhūTā jā rahā hai
baḌhī jaatī hai sham-e-bazm kī lau
koī parvāna shāyad aa rahā hai
fanā kā pesh-rau is ko samajhiye
jo lamha zindagī kā jā rahā hai
ilāhī sharam rakhnā rāz-e-dil kī
kisī kā naam lab par aa rahā hai
tirī raushan-jabīñ kā hai vo aalam
charāġh-e-māh bhī sharmā rahā hai
nigah ne shakl tak dekhī nahīñ hai
pas-e-parda koī taḌpā rahā hai
'nihāl' āñkheñ uThā bahr-nazāra
koī sū-e-gulistāñ aa rahā hai