rābta hai mujhe shīshe se na paimāne se
phir vo kyā baat hai mansūb huuñ mai-ḳhāne se
ahl-e-mai-ḳhāna salīqe se piyeñ āb-e-hayāt
varna phir maut hai chhalkegī jo paimāne se
ek aalam se judā maslihateñ haiñ is kī
kaun har baat pe uljhe tire dīvāne se
ḳhirad āshob hai har nukta-e-irfān-e-hayāt
aur baḌhtā hai junūñ aql ke baḌh jaane se