Nihal Sevharvi

bahaar ka rup bhi nigahon mein ek fareb-e-bahaar sa hai

Nihal Sevharvi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1901-1951
bahār kā ruup bhī nigāhoñ meñ ik fareb-e-bahār sā hai
hayāt meñ dilkashī nahīñ hai hayāt meñ intishār sā hai
zamāna kyā dekhiye dikhā.e na jaane kyā inqalāb aa.e
falak ke tevar meñ ḳhashmagīñ se zamīñ ke dil meñ ġhubār sā hai
kamāl-e-dīvāngī to jab hai rahe na ehsās-e-jaib-o-dāman
agar hai ehsās-e-jaib-o-dāman to phir junūñ hoshiyār sā hai
kuchh aaj aisī hī jī pe guzrī dabī huī thī jo choT ubhrī
jise sambhāle huā thā dil meñ vo naala be-iḳhtiyār sā hai
abhī umīd-o-vafā na toḌo siyāsat-e-dilbarī na chhoḌo
kabhī jo firdaus-e-rañg-o-bū thā vo ek ujḌā dayār sā hai
'nihāl' ko be piye hai mastī hai muft ilzām-e-mai-parastī
hai aam is shahr meñ rivāyat ye shaḳhs kuchh bāda-ḳhvār sā hai
Top Urdushayar.com