ik shaḳhs javāñ ḳhāk-basar yaad to hogā
vo apnī nigāhoñ kā asar yaad to hogā
vo dhuum zamāne meñ mire josh-e-junūñ kī
vo ġhalġhala-e-shām-o-sahar yaad to hogā
bhūle to na hoge vo tajallī kī hikāyat
vo tazkira-e-dāġh-e-jigar yaad to hogā
har gaam pe vo husn kī pur-hosh nigāheñ
vo ishq kā bad-mast safar yaad to hogā
har lamha vo duniyā-e-mohabbat meñ taġhayyur
har saañs meñ vo rañg-e-digar yaad to hogā
vo dil ko tire husn-e-ḳhud-ārā se ta.alluq
vo ḳhaak se paimān-e-nazar yaad to hogā
vo kārgah-e-dahr se ik be-ḳhabarī sī
vo ta.ana-e-har-ahl-e-ḳhabar yaad to hogā
vo diid ki thā rū-kash-e-ārā.ish-e-gītī
pahroñ taraf-e-rāh-guzar yaad to hogā
vo ishq ke jazbāt kā bharpūr talātum
tūfān kī maujoñ meñ guzar yaad to hogā
gum-karda sukūñ pā ke mujhe apnī galī meñ
kahnā vo tajāhul se kidhar yaad to hogā
bholī to na hogī mirī ulfat kī haqīqat
muddat kā fasāna hai magar yaad to hogā