zamāna kyā dekhiye dikhā.e na jaane kyā inqilāb aa.e
falak ke tevar haiñ ḳhashm-gīñ se zamīñ ke dil meñ ġhubār sā hai
kamāl-e-dīvāngī to jab hai rahe na ehsās-e-jaib-o-dāman
agar hai ehsās-e-jaib-o-dāman to phir junūñ hoshiyār sā hai
kuchh aaj aisī hī jī pe guzrī dabī huī thī jo choT ubhrī
jise sambhāle huā thā dil meñ vo naala be-iḳhtiyār sā hai