A G Josh

mumkin hai shab-e-hijr dua ka na asar ho

A G Josh

Amritsar, Punjab, India

1928-2007
mumkin hai shab-e-hijr duā kā na asar ho
hai raat vo kyā raat ki jis kī na sahar ho
Thukrā ke chale jaanā hai bar-haq tumheñ lekin
bas rakhnā ḳhayāl itnā jahāñ ko na ḳhabar ho
vo shab jo sitāroñ se bharī ho to hameñ kyā
pahlū meñ agar tere mirī shab na basar ho
garjā hai baḌe zor se bādal zarā dekho
bijlī se girī jis pe kahīñ merā na ghar ho
jīvan hai safar 'josh' ye taslīm hai lekin
mahbūb kā ho saath to kyā ḳhuub safar ho
Top Urdushayar.com