guzre jo apne yāroñ kī sohbat meñ chaar din
aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din
umr-e-ḳhizar kī us ko tamannā kabhī na ho
insān jī sake jo mohabbat meñ chaar din
jab tak jiye nibhā.eñge ham un se dostī
apne rahe jo dost musībat meñ chaar din
ai jān-e-ārzū vo qayāmat se kam na the
kaaTe tire baġhair jo ġhurbat meñ chaar din
phir umr bhar kabhī na sukūñ pā sakā ye dil
kaTne the jo bhī kaT ga.e rāhat meñ chaar din
jo faqr meñ surūr hai shāhī meñ vo kahāñ
ham bhī rahe haiñ nashsha-e-daulat meñ chaar din
us aag ne jalā ke ye dil raakh kar diyā
uThte the 'josh' sho.ale jo vahshat meñ chaar din