na sochnā ki zamāne se Dar ga.e ham bhī
tirī talāsh meñ ġhairoñ ke ghar ga.e ham bhī
churā liiñ ham se bhī us ḳhud-parast ne āñkheñ
dil-e-habīb se āḳhir agar ga.e ham bhī
pasījā dil na kisī kā hamāre ashkoñ se
har āstāñ pe liye chashm-e-tar ga.e ham bhī
jo dekhā kaliyoñ ko tujh par nisār hote hue
to rañg ban ke fazā meñ bikhar ga.e ham bhī
jab us kī zauq-e-nazar kā huā bahut charchā
vufūr-e-shauq se ek din sañvar ga.e ham bhī
bahut se ishq kī rāhoñ meñ pul-sirāt aa.e
tumhārā naam liyā aur guzar ga.e ham bhī
muhāl thā ki ham ai 'josh' zinda rah sakte
firāq-e-yār meñ ik roz mar ga.e ham bhī