karb-e-furqat ruuh se jaatā nahīñ
hal koī ġham kā nazar aatā nahīñ
kaash hotā ilm ye insān ko
jo guzar jaatā hai pal aatā nahīñ
miT gayā shikve se lutf-e-intizār
ab hameñ vo raah dikhlātā nahīñ
ham vafā.eñ kar ke bhī haiñ sharmsār
vo jafā.eñ kar ke sharmātā nahīñ
dard vo in.aam hai 'sāhil' ki jo
har kisī insāñ ko raas aatā nahīñ