jo nekī kar ke phir dariyā meñ is ko Daal jaatā hai
vo jab duniyā se jaatā hai to mālā-māl jaatā hai
sambhal kar hī qadam rakhnā bayābān-e-mohabbat meñ
yahāñ se jo bhī jaatā hai baḌā behāl jaatā hai
kabhī bhūke paḌosī kī ḳhabar to lī nahīñ us ne
magar karne vo umra aur haj har saal jaatā hai
manā.ūñ har baras jashn-e-vilādat kis liye āḳhir
yahāñ har saal merī umr kā ik saal jaatā hai
hai duniyā tak hī apnī dastaras meñ daulat-e-duniyā
faqat hamrāh apne nāma-e-a.amāl jaatā hai
binā dekhe ḳhudā ko māntā huuñ is liye 'sāhil'
koī to hai jo ham ko roz daana Daal jaatā hai