jo vafā kā rivāj rakhte haiñ
sāf-suthrā samāj rakhte haiñ
qābil-e-rahm haiñ vo insāñ jo
ḳhvāhish-e-taḳht-o-tāj rakhte haiñ
bhej kar ham jahez par la.anat
ahl-e-ġhurbat kī laaj rakhte haiñ
dil-kushāda bhī haiñ unhī ke jo
sar pe ġhurbat kā taaj rakhte haiñ
barakat allāh detā hai 'sāhil'
laakh ham kam anaaj rakhte haiñ