bahut kuchh mehnatoñ se ik zarā izzat kamā.ī hai
añdhere jhoñpaḌe meñ raushnī jugnū se aa.ī hai
tasadduq zindagī fāqoñ pe us ke ahd-e-hāzir meñ
ki jis ne jaan de kar aabrū apnī bachā.ī hai
hameñ inkār hai bātil-parastoñ kī qayādat se
hamārī zindagī kī har tamannā kar bulā.ī hai
ḳhud apne shahr meñ apnā shanāsā.ī nahīñ koī
na jaane justujū apnī ye kis manzil pe laa.ī hai
ajab dastūr hai 'sāhil' ki is ahd-e-taraqqī meñ
bhalā.ī meñ burā.ī aur burā.ī meñ bhalā.ī hai