mujhe tanhā.ī ke ġham se bachā lete to achchhā thā
safar meñ ham-safar apnā banā lete to achchhā thā
shikast-e-fāsh kā ġham zindagī jiine se bad-tar hai
jhukāne kī bajā.e sar kaTā lete to achchhā thā
kabhī ashkoñ pe itnā zabt bhī achchhā nahīñ hotā
ye chashma phir zarar degā bahā lete to achchhā thā
bhalā kyā fā.eda ab qabr pe aañsū bahāne se
agar māñ-bāp kī pahle duā lete to achchhā thā
shikāyat se bhalā 'sāhil' huā hai fā.eda kis kā
ġham-e-dil gar hañsī meñ tum chhupā lete to achchhā thā